Nek Biwi Ki Pehchan

Nek Biwi Ki Pehchan – Aapko Mil Sakti Hai, Lekin Kaise?

“Main ek shareef, ba-parda, aur pakiza biwi chahta hoon…”

Aaj kal har ladka yeh kehne mein fakhar mehsoos karta hai. Aur kyun na kare? Har mard ki khwahish hoti hai ke uski biwi ek aisi aurat ho jo sirf behtareen maa hi nahi, balki uski zindagi ka sukoon ho. Jo deeni bhi ho, samajhdaar bhi, aur duniya ki samajh bhi rakhti ho.

Lekin sawal yeh hai: Aisi pakiza aur nek biwi milti kaise hai?
Aakhir “Nek Biwi Kaise Milegi?”
Kya aaj ke waqt mein yeh sirf ek khwab reh gaya hai?

🌸 Shaadi ke baad sab kuch badal jaata hai... lekin kya aapne wo ek khas dua seekhi hai jo zindagi mein sakoon aur barakah laa sakti hai?

📿 Har naya rishta ek nayi zimmedaari hai — lekin is roohani raahnumai ke baghair, kahin aap kuch zaroori toh nahi chhod rahe?

👉 Must Read: Nikah Ke Baad Ki Jaane Wali Dua – Nayi Shaadi Shuda Jodon Ke Liye Roohani Rahnumai”
Padhiye abhi — aur jaaniye woh pehla kalma jo mohabbat aur rehmat se zindagi bhar de

💔 Sach Kadwa Hai… Magar Zaroori Hai Samajhna

Aap shareef ladki se shadi chahte hain…
Lekin apne friends ke saath mil kar doosron ki behn betiyon par “item”, “chikni”, “maal” jese lafzon mein baat karte hain?

Zara sochiye…

Agar koi aapki behan ya beti ke liye aise lafz use kare to?
Kya aap bardaasht karenge?
Kya aapka khoon nahi kholega?

To phir aapko kya haq hai kisi aur ki behn beti ko sirf tafreeh ka zariya samajhne ka?


🔁 Double Standards Ka Waqt Khatm Karna Hoga

Har mard chahta hai ke uske naseeb mein pakiza aurat ho…
Lekin khud ka kirdar?
Apne deeds, nazar aur niyyat ka hisaab?

Aap doosron ki betiyon ko gandi nazar se dekhenge, flirt karenge, date maarenge, aur baad mein dua karenge ek nek aurat mile?
Yeh soch khud mein hi nifaaq aur tazad hai.


🪞 Zindagi Ka Aaina — Khud Ko Dekhiye

Yeh duniya ek aaina hai. Jo aap karte ho, wahi palat kar aapke saamne aata hai.

  • Agar aap doosron ki behn betiyon ko izzat doge —
    🕊️ Aapko bhi izzat milegi.
  • Agar aap unki pakizgi ki hifazat karoge —
    💍 Allah aapke naseeb mein bhi nek biwi likhega, Insha’Allah.

💡 Qur’an Ka Saaf Paighaam

“Na-pak auratein na-pak mardon ke liye hain,
aur na-pak mard na-pak auraton ke liye.
Aur pakiza auratein pakiza mardon ke liye hain,
aur pakiza mard pakiza auraton ke liye.”
(Surah An-Nur, Ayah 26)

Yani jo insaan pakizgi chahta hai, usse pehle khud bhi pak hona padega.


🔚 Aakhri Bat — Aaj Se Soch Badlo

Agar aap waqayi chahte hain:

  • Nek biwi
  • Nek beti
  • Pakiza zindagi

To sabse pehle apni nazar, apni zubaan, aur apna kirdar pak karo.
Dusron ki maa behnon ko izzat dena seekho.

Jab aap izzat baantoge, to izzat aapke ghar zaroor aayegi.
Insha’Allah.


💬 Aap Kya Sochte Hain?

Aapke hisaab se aaj ke daur mein pakiza biwi milna mushkil hai ya mumkin?
Apne views comment karein —
Ya is paighaam ko kisi dost tak zaroor pohchayein jisko iski zarurat hai.

Whatsapp Channel👉Join Now
Leave a Reply

Shopping cart

0
image/svg+xml

No products in the cart.

Continue Shopping